Anjum Rumani

humse bhi gahe gahe mulaqat chahiye

Anjum Rumani

Kapurthala, Punjab, India

1920-2001
ham se bhī gaahe gaahe mulāqāt chāhiye
insān haiñ sabhī to musāvāt chāhiye
achchhā chalo ḳhudā na sahī un ko kyā huā
āḳhir koī to qāzi-e-hājāt chāhiye
hai āqibat ḳharāb to duniyā hī Thiik ho
koī to sūrat-e-guzar-auqāt chāhiye
jaane palak jhapakne meñ kyā gul khilā.e vaqt
har dam nazar ba-sūrat-e-hālāt chāhiye
aa.egī ham ko raas na yak-rañgi-e-ḳhalā
ahl-e-zamīñ haiñ ham hameñ din raat chāhiye
vā kar diye haiñ ilm ne dariyā-e-ma.arifat
andhoñ ko ab bhī kashf o karāmāt chāhiye
jab qais kī kahānī ab anjum kī dāstāñ
duniyā ko dil lagī ke liye baat chāhiye
Top Urdushayar.com