har chand unheñ ahd farāmosh na hogā
lekin hameñ us vaqt koī hosh na hogā
dekhoge to aa.egī tumheñ apnī jafā yaad
ḳhāmosh jise pāoge ḳhāmosh na hogā
guzre haiñ vo lamhe ki sadā yaad raheñge
dekhā hai vo aalam ki farāmosh na hogā
ham apnī shikastoñ se haiñ jis tarah baġhal-gīr
yuuñ qabr se bhī koī ham-āġhosh na hogā
pī jaate haiñ zahr-e-ġham-e-hastī ho ki mai ho
ham sā bhī zamāne meñ balā-nosh na hogā
hone ko to duniyā meñ ka.ī parda-nashīñ haiñ
lekin tirī sūrat koī rū-posh na hogā
pāoge na āzād-e-ġham-anjum kisī dil ko
hogā ġham-e-fardā jo ġham-e-dosh na hogā