Anjum Rumani

jahan tak gaya karwan-e-KHayal

Anjum Rumani

Kapurthala, Punjab, India

1920-2001
jahāñ tak gayā kārvān-e-ḳhayāl
na thā kuchh ba-juz hasrat-e-pā.emāl
mujhe terā tujh ko hai merā ḳhayāl
magar zindagī phir bhī hai ḳhasta-hāl
jahāñ tak hai dair o haram kā savāl
raheñ chup to mushkil kaheñ to muhāl
tirī kā.enāt ek hairat-kada
shanāsā magar ajnabī ḳhadd-o-ḳhāl
mirī kā.enāt ek zaḳhm-e-kuhan
muqaddar meñ jis ke nahīñ indimāl
na.ī zindagī ke na.e makr o fan
na.e aadmī kī na.ī chāl-Dhāl
hue ruḳhsat anjum sahar ke qarīb
na dekhā gayā shāyad apnā ma.aal
Top Urdushayar.com