jab bhī koī baat kī aañsū Dhalke saath
ham bhī pāgal ho ga.e man pāgal ke saath
raat ko kaalī chāñdnī din ko kaalī dhuup
DhūñDeñ āñhkeñ raushnī raheñ dhundalke saath
māreñ Tāmak-Toīye añdhiyāre meñ log
taare saare bujh ga.e dil ke kañval ke saath
aaj hai man meñ ran paḌā aaj kī rakkho laaj
jhūTī kal kī dostī jhūTe kal ke saath
paap karo jī khol kar dhabboñ kī kyā soch
jab jī chāhā dho liye gañgā-jal ke saath
gurū to ḳhair gurū huā us kī bhalī kahī
chaltā hai kyā bālakā uchhal uchhal ke saath
rail bajā.e sīTiyāñ dauḌo vaqt chalā
huqqa piine chaudharī gayā ajal ke saath
totoñ ne haiñ aaj kal khole yahāñ schōl
bailoñ ne haiñ aadmī juute hal ke saath
aan kī aan meñ ho ga.ī duniyā aur se aur
ham tum baiThe rah ga.e biite pal ke saath
duniyā kī ye riit hai māñge bhiik na de
paa.e vahī jo chhīn le baḌh kar bal ke saath
koī vaqt ko rok lo gayā na aa.e haath
aatā pal bhī lo gayā jaate pal ke saath
ghar baiThe hogī nahīñ vahshat dil kī duur
raas rachī hai shahr meñ dekho chal ke saath
madh maate kā saath kyā aa.ī lahr gayā
partav le man bāñvarā har āñchal ke saath
ham ko dekho pī ga.e maTke zahar bhare
tum to be-sudh ho ga.e ik botal ke saath
jaatā thā ik qāfila rūp-nagar kī aur
ham bhī 'anjum' ho liye bhes badal ke saath