Anjum Rumani

dukhi dilon ke liye taziyana rakhta hai

Anjum Rumani

Kapurthala, Punjab, India

1920-2001
dukhī diloñ ke liye tāziyāna rakhtā hai
har ek shaḳhs yahāñ ik fasāna rakhtā hai
kisī bhī haal meñ raazī nahīñ hai dil ham se
har ik tarah kā ye kāfir bahāna rakhtā hai
azal se Dhañg haiñ dil ke ajiib se shāyad
kisī se rasm-o-rah ġhā.ebāna rakhtā hai
koī to faiz hai koī to baat hai is meñ
kisī ko dost yūñhī kab zamāna rakhtā hai
faqīh-e-shahr kī bātoñ se dar-guzar behtar
bashar hai aur ġham-e-āb-o-dāna rakhtā hai
muāmlāt-e-jahāñ kī ḳhabar hī kyā us ko
muāmlā hī kisī se rakkhā na rakhtā hai
hamīñ ne aaj tak apnī taraf nahīñ dekhā
tavaqquāt bahut kuchh zamāna rakhtā hai
qalandarī hai ki rakhtā hai dil ġhanī 'anjum'
koī dukāñ na koī kār-ḳhāna rakhtā hai
Top Urdushayar.com