Anjum Rumani

bayan mein tere har tarz-e-bayan gum

Anjum Rumani

Kapurthala, Punjab, India

1920-2001
bayāñ meñ tere har tarz-e-bayāñ gum
fasāne meñ mire har dāstāñ gum
na ham gum haiñ na terā āstāñ gum
magar kuchh silsila hai darmiyāñ gum
ajab andāz-e-az-ḳhud-raftagī hai
bharī mahfil meñ sab ke darmiyāñ gum
rahī sahrā-ba-sahrā terī manzil
hue manzil-ba-manzil kārvāñ gum
ravāna kārvāñ sālār nāpaid
safīna bād-e-paimā bādbāñ gum
qarīb-o-dūr vahm-e-nā-rasā.ī
kabhī manzil kabhī ḳhud kārvāñ gum
hue 'anjum' sahar kī justujū meñ
misāl-e-lukka-e-abr-e-ravāñ gum
Top Urdushayar.com