Anjum Rumani

nahin nam-o-nishan sae ka lekin yar baiThe hain

Anjum Rumani

Kapurthala, Punjab, India

1920-2001
nahīñ nām-o-nishāñ saa.e kā lekin yaar baiThe haiñ
uge shāyad zamīñ se ḳhud-ba-ḳhud dīvār baiThe haiñ
savār-e-kashti-e-amvāj-e-dil haiñ aur ġhāfil haiñ
samajhte haiñ ki ham dariyā-e-ġham ke paar baiThe haiñ
ujaaḌ aisī na thī duniyā abhī kal tak ye aalam thā
yahāñ do-chār baiThe haiñ vahāñ do-chār baiThe haiñ
phir aatī hai isī sahrā se āvāz-e-jaras mujh ko
jahāñ majnūñ se dīvāne bhī himmat haar baiThe haiñ
samajhte ho jinheñ tum sañg-e-mīl ai qāfile vaalo
sar-e-rah ḳhastgān-e-hasrat-raftār baiThe haiñ
ye jitne mas.ale haiñ mashġhale haiñ sab farāġhat ke
na tum be-kār baiThe ho na ham be-kār baiThe haiñ
tumheñ 'anjum' koī us se tavaqqo ho to ho varna
yahāñ to aadmī kī shakl se be-zār baiThe haiñ
Top Urdushayar.com