jaa.e ḳhirad nahīñ hai ki farzāna chāhiye
hū kā maqām hai koī dīvāna chāhiye
hai is meñ qaid-e-shahr na vīrāna chāhiye
bahr-e-farāġh tab-e-faqīrāna chāhiye
gunjā.ish-e-tasavvur-e-yak-lafz bhī nahīñ
yaañ har kisī ke vāste afsāna chāhiye
yaañ har qadam hai mahshar-e-imkān-e-nau-ba-nau
yaañ har qadam pe sajda-e-shukrāna chāhiye
jab tak ki haiñ zamāne meñ ham se ḳharāb log
masjid kahīñ kahīñ koī mai-ḳhāna chāhiye
ma.alūm hai ḳhudā ko jo hālat diloñ kī hai
ai shaiḳh ham faqīroñ pe fatvā na chāhiye
rakhte haiñ 'anjum' aap jo auroñ ke vāste
apne liye bhī to vahī paimāna chāhiye