mausam kā āh-o-nāla se andāza kījiye
taaza havā pe band na darvāza kījiye
yā chheḌiye na manzar-e-nādīdanī kā zikr
yā misl-e-āftāb baham ġhāza kījiye
yā lab pe lā.iye na pareshāniyoñ kī baat
yā jam.a baiTh kar kabhī shīrāza kījiye
bahlā.eñ dil ko ḳhvāb-e-ḳhush-ā.ind se na kyuuñ
kyā fā.eda ki zaḳhm-e-kuhan taaza kījiye
is daur meñ ki chehre hī 'anjum' hue haiñ masḳh
kyā ḳhatt-o-ḳhāl se tire andāza kījiye