Anjum Barabankvi

hum sab ko batate rahte hain ye baat purani kaam ki hai

Anjum Barabankvi

Barabanki, Uttar pradesh, India

1964
ham sab ko batāte rahte haiñ ye baat purānī kaam kī hai
das biis gharoñ meñ charche hoñ tab jā ke javānī kaam kī hai
ye vaqt abhī tham jā.egā māhaul meñ dil ram jā.egā
bas aap yūñhī baiThe rahiye ye raat suhānī kaam kī hai
āsān bhī hai dushvār bhī hai dukh-sukh kā baḌā bāzār bhī hai
mālūm nahīñ to mujh se suno ye duniyā divānī kaam kī hai
mash.hūr bhī haiñ badnām bhī haiñ ḳhushiyoñ ke na.e paiġhām bhī haiñ
kuchh ġham ke baḌe in.aam bhī haiñ paḌhiye to kahānī kaam kī hai
jo log chale haiñ ruk ruk kar hamvār zamīñ par jhuk jhuk kar
vo kaise batā.eñge tum ko dariyā kī ravānī kaam kī hai
Top Urdushayar.com