zahar lagtā hai ye aadat ke mutābiq mujh ko
kuchh munāfiq bhī batāte haiñ munāfiq mujh ko
din chaḌhe dhuup kī bāteñ nahīñ suntā koī
chāñdnī-rāt pukāre tirā āshiq mujh ko
kashtiyāñ reshmī ḳhvāboñ kī jalā kar jaanā
kis kī chāhat ne banā rakkhā hai 'tāriq' mujh ko
aap ke naam pe maiñ had meñ rahā huuñ lekin
aap ke naam pe duniyā ne kiyā diq mujh ko
maiñ ne sūraj kī tarah ḳhud ko banāyā jis din
dekhne ā.eñge ye maġhrib-o-mashriq mujh ko
aap kahte to zarā dil ko tasallī hotī
kahne vāloñ ne kahā āshiq-e-sādiq mujh ko