lahje kī udāsī kam hogī bātoñ meñ khanak aa jā.egī
do-roz hamāre saath raho chehre pe chamak aa jā.egī
ye chāñd-sitāroñ kī mahfil ma.alūm nahīñ kab raushan ho
tum paas raho tum saath raho jazboñ meñ kasak aa jā.egī
kuchh der meñ bādal barseñge kuchh der meñ sāvan jūmeñge
tum zulf yuuñ hī lahrā.e raho mausam meñ sanak aa jā.egī
jab us kī malāhat ke qisse likkhūñgā ġhazal ke sheroñ meñ
har rūkhe-phīke misre meñ tāsīr-e-namak aa jā.egī
sūraj ko zarā kuchh Dhalne do kuchh vaqt kā dariyā bahne do
jo dhuup abhī tak sar par hai vo paañv talak aa jā.egī
ye soch ke tere qadmoñ kī kuchh ḳhaak uḌā dī gulshan meñ
har phuul meñ tere chehre kī thoḌī sī jhalak aa jā.egī
jis baat kā matlab ḳhushbū hai har gaañv ke kachche raste par
us baat kā matlab badlegā jab pakkī saḌak aa jā.egī
ye pyaar kā din hai pyaar kā din iqrār karo 'anjum'-sāhab
is din kī zarā sī qadr karo jīvan meñ mahak aa jā.egī