Anjum Barabankvi

wo jis ke nam mein lazzat bahut hai

Anjum Barabankvi

Barabanki, Uttar pradesh, India

1964
vo jis ke naam meñ lazzat bahut hai
usī ke zikr se barakat bahut hai
zarā mahfūz rastoñ se guzarnā
tumhārī shahr meñ shohrat bahut hai
abhī sūraj ne lab khole nahīñ haiñ
abhī se dhuup meñ shiddat bahut hai
mujhe sone kī qīmat mat batāo
maiñ miTTī huuñ mirī azmat bahut hai
kisī kī yaad meñ kho.e raheñge
gunah-gāroñ ko ye jannat bahut hai
jinheñ masrūf rahne kā maraz thā
unheñ bhī āj-kal fursat bahut hai
jahāñ par ḳhushbueñ thiiñ zindagī kī
usī mahfil meñ ab ġhībat bahut hai
kabhī to husn kā sadqa nikālo
tumhāre paas ye daulat bahut hai
ġhazal ḳhud kah ke paḌhnā chāhte ho
miyāñ is kaam meñ mehnat bahut hai
havā to tham chukī lekin diyoñ ke
ravayyoñ meñ abhī dahshat bahut hai
Top Urdushayar.com