har ek lafz meñ siine kā nuur Dhaal ke rakh
kabhī-kabhār to kāġhaz pe dil nikāl ke rakh
jo dostoñ kī mohabbat se jī nahīñ bhartā
to āstīn meñ do-chār saañp paal ke rakh
tujhe to kitnī bahāreñ salām bhejeñgī
abhī ye phuul sā chehra zarā sambhāl ke rakh
yahāñ se dhuup ke neze buland hote haiñ
tamām chhāñv ke qissoñ pe ḳhaak Daal ke rakh
mahak rahe haiñ ka.ī āsmān miTTī meñ
qadam zamīn-e-mohabbat pe dekh-bhāl ke rakh
dil-o-dimāġh Thikāne pe aane vaale haiñ
ab us kā zikr kisī aur din pe Taal ke rakh