zanjīr to pairoñ se thakan bāñdhe hue hai
dīvāna magar sar se kafan bāñdhe hue hai
ḳhushbū ke bikharne meñ zarā der lagegī
mausam abhī phūloñ ke badan bāñdhe hue hai
dastār meñ tā.ūs ke par bāñdhne vaalā
gardan meñ masā.il kī rasan bāñdhe hue hai
shāyad kisī majzūb-e-mohabbat ko ḳhabar ho
kis sehr se dhartī ko gagan bāñdhe hue hai
me.arāj-e-aqīdat hai ki ta.avīz kī sūrat
baazū pe koī ḳhāk-e-vatan bāñdhe hue hai
sūraj ne añdheroñ kī nazar bāñdh ke pūchhā
ab kaun ujāloñ kā suḳhan bāñdhe hue hai