dūsrā ruḳh nahīñ jis kā usī tasvīr kā hai
mas.ala bhūle hue ḳhvāb kī ta.abīr kā hai
chand qadmoñ se ziyāda nahīñ chalne paate
jis ko dekho vahī qaidī kisī zanjīr kā hai
jo bhī karnā hai faqat dil kī tasallī ke liye
vaqt tahrīr kā hai aur na tadbīr kā hai
tum mohabbat kā use naam bhī de lo lekin
ye to qissa kisī haarī huī taqdīr kā hai
ye jo chalne nahīñ paate tirī jānib dar-asl
jaldī jaldī meñ kahīñ Dar hameñ tāḳhīr kā hai
bilkul aise mujhe hāsil hai himāyat sab kī
har koī jaise taraf-dār yahāñ hiir kā hai