andalīboñ se kabhī gul se kabhī letā huuñ
azm-e-bardāsht dam-e-tishna-labī letā huuñ
tanz kī sard havā.eñ jo satātī haiñ mujhe
shiddat-e-garmī-e-ehsās ko pī letā huuñ
zindagī baaqī bhī apnoñ meñ guzar jā.egī
is liye talḳhī-e-hālāt ko pī letā huuñ
mujh pe sab log gunah Daal diyā karte haiñ
kis liye kis ke liye dariyā-dilī letā huuñ
inkisārī ne mujhe itnī bulandī dī hai
bhuul kar bhī na kabhī rāh-e-ḳhudī letā huuñ