Razi Mujtaba

haqiqaton ka pata de ke KHud sarab hua

Razi Mujtaba

haqīqatoñ kā pata de ke ḳhud sarāb huā
vo mujh ko hosh meñ lā kar ḳhayāl-o-ḳhvāb huā
vo apne lams se patthar banā gayā mujh ko
visāl us kā mujhe sūrat-e-azāb huā
saroñ pe sab ke paḌī hādsoñ kī dhuup magar
koī sarāb banā aur koī sahāb huā
azaab sab ke mire jism-o-jāñ pe naqsh hue
mirā vajūd mire ahd kī kitāb huā
sukūt-e-shahr-e-sitam se asīr-e-yās na ho
ki yaañ sakūñ se huā jo bhī inqalāb huā
vahī to ek hamārā mizāj-dāñ thā 'razī'
jo ham se duur rahā aur na dastiyāb huā
Top Urdushayar.com