ḳhud-nigar the aur mahv-e-dīd-e-husn-e-yār the
ham ki apne rū-ba-rū shīsha kī ik dīvār the
phir nigāhoñ ne bune the chaar sū ḳhvāboñ ke jaal
sū-ba-sū phir rishta-gar vahm-o-gumāñ ke taar the
muḳhtasar sā hai hamārā qissa-e-shauq-e-safar
abr-e-āvāra the ham lekin sar-e-kohsār the
ḳhanda-rez o girya-gīñ thī zaḳhm-e-ḳhātir kī numūd
duur duniyā ke ta.ayyun se mire āzār the
maiñ savād-e-dasht-e-tanhā.ī kā phaltā peḌ thā
sabz zahr-e-be-kasī se mere barg-o-bār the
bujh gayā thā dil hamārā ba.ad-e-sharh-e-ārzū
jī kī ham kahne ga.e to kushta-e-izhār the
rā.egāñ thī apnī āb-o-tāb bhī kyā kyā 'razī'
ham ki ik be-ma.arka aur be-adū talvār the