kho baiThī hai saare ḳhad-o-ḳhāl apnī ye duniyā
ab to hai faqat ek dhamāl apnī ye duniyā
sadiyoñ kī sitam-dīda ġham-o-rañj se ma.amūr
kis darja hai zaḳhmoñ se niDhāl apnī ye duniyā
zor-āvarī-e-zulm hai is darja ki qātil
kahte haiñ ki hai un kā manāl apnī ye duniyā
kab tak ye tirā husn-e-taġhāful hai ḳhudā-yā
ik la.ib hai bar-dast-e-majāl apnī ye duniyā
ḳhūñ-rezi-e-ādam kā ye aalam hai ki ab to
lagtī hai bas ik gāh-e-qitāl apnī ye duniyā
kyuuñ ḳhūn-e-bashar ḳhūn-e-tamannā hai har ik samt
kyuuñ ḳhuuñ se huī jaatī hai laal apnī ye duniyā
hai ḳhaar kī mānind mirī ruuh meñ paivast
ye nīsh-e-ġham-o-dard ḳhayāl apnī ye duniyā
mānind-e-salīb is ko liye phirtā huuñ din raat
kāñdhoñ pe uThā.e ye vabāl apnī ye duniyā
ab mujh se sambhaltī nahīñ ye dard kī sauġhāt
le tujh ko mubārak ho sambhāl apnī ye duniyā