Azlan shah

safar ke baad bhi safar ka ehtimam kar raha hun main

Azlan shah

safar ke ba.ad bhī safar kā ehtimām kar rahā huuñ maiñ
ajiib be-dilī se har jagah qayām kar rahā huuñ maiñ
ye baat baat par uThānā haath bad-duā ke vāste
mirā yaqīn kar halāl ko harām kar rahā huuñ maiñ
ye log ḳhvāb aur phuul se panāh māñgne lage
bas itnā soch kar hī baat ko tamām kar rahā huuñ maiñ
har ek lafz par ukhaḌ rahī hai baar baar saañs ye
mujhe to lag rahā hai āḳhirī salām kar rahā huuñ maiñ
kuchh is tarah kī tohmateñ lagā.ī jā rahī haiñ mujh pe ab
ḳhamosh rah ke apne aap se kalām kar rahā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com