jism-e-be-sar koī bismil koī fariyādī thā
hashr-sāmāniyāñ thiiñ manzil-e-jānāñ ke qarīb
zau-fishāñ shams thā par us ko ḳhajil honā paḌā
un kā husn aa gayā jab mehr-e-daraḳhshāñ ke qarīb
ashk ban ban ke jo chamkā thā ufuq par barsoñ
vo sitārā nazar aayā tire mizhgāñ ke qarīb
tā.er-e-rūh ne parvāz kī dekh ai sayyād
tū gayā le ke qafas jab dar-e-zindāñ ke qarīb
maiñ to samjhā thā nasheman bhī jalā ḳhair huī
barq jab kauñd ke aa.ī thī gulistāñ ke qarīb
ātish-e-ishq bujhā.e na bujhī tā-ba-lahad
bhaḌkī dāman se to pahuñchī ye garebāñ ke qarīb
bū-e-gul dauḌ ke sadqe huī gesū pe 'zahīr'
aap aa.e jo kisī din chamanistāñ ke qarīb