Sayyad Zahiruddin Zaheer

lazzat-e-dard-e-alam hi se sukun aa jae hai

Sayyad Zahiruddin Zaheer

Allahabad, Uttar pradesh, India

1938
lazzat-e-dard-e-alam hī se sukūñ aa jaa.e hai
dil mirā un kī navāzish se to ghabrā jaa.e hai
garche hai tarz-e-taġhāful parda-dār-e-rāz-e-ishq
par ham aise kho.e jaate haiñ ki vo pā jaa.e hai
bazm meñ mere adū haiñ un se un kā irtibāt
aisā manzar kab mirī āñkhoñ se dekhā jaa.e hai
dil kī dil hī meñ rahī ye hasrat-e-dīdār bhī
merī nazreñ uThte hī vo mujh se sharmā jaa.e hai
jab na mahshar meñ bhī hogā un kā merā sāmnā
aaj jī-bhar kar taḌap luuñ jitnā taḌpā jaa.e hai
kyā sahar hone se pahle hī firāq-e-jān hai
dil mirā kuchh shaam hī se aaj baiThā jaa.e hai
aag furqat kī jo bhaḌkī jal ga.e qalb-o-jigar
ai 'zahīr' ātish-kade meñ kis se Thahrā jaa.e hai
Top Urdushayar.com