huā de kar dabe sho.aloñ ko bhaḌkāyā nahīñ jaatā
dikhā kar jaam mai pyāsoñ ko tarsāyā nahīñ jaatā
na le jā duur gulshan se are sayyād bulbul ko
ki bīmār-e-mohabbat par sitam Dhāyā nahīñ jaatā
tirī tar-dāmanī ko dekh kar kuchh shak sā hotā hai
ki dhabba dāman-e-ma.asūm par paayā nahīñ jaatā
haiñ donoñ nuur ke TukḌe magar hifz-e-marātib se
sitāroñ ko shah-e-ḳhāvar se Takrāyā nahīñ jaatā
bahāro hai burī ye baat ham se āshiq-e-gul ko
dikhā ke rū-e-gul kāñToñ meñ uljhāyā nahīñ jaatā
na kar nashtar-zanī sayyād sāda-lauh bulbul par
na jaane jo taḌapnā us ko taḌpāyā nahīñ jaatā
'zahīr'-e-ḳhasta ye bhī ik usuul pās-e-ulfat hai
zabāñ par kalma-e-shikva kabhī laayā nahīñ jaatā