phūloñ ko sharmsār kiyā hai kabhī kabhī
kāñToñ se ham ne pyaar kiyā hai kabhī kabhī
mauqūf chāk-e-jeb-e-garebāñ hī par nahīñ
dāman bhī tār-tār kiyā hai kabhī kabhī
maiñ muztarib rahā huuñ ye sach hai firāq meñ
un ko bhī be-qarār kiyā hai kabhī kabhī
dil kā diyā jalā ke ḳhud apne hī ḳhuun se
shab shab-bhar intizār kiyā hai kabhī kabhī
tanhā shab-e-firāq meñ tār-e-nafas ke saath
tāroñ kā bhī shumār kiyā hai kabhī kabhī
aisā bhī vaqt aayā hai aksar hayāt meñ
sar apnā sū-e-dār kiyā hai kabhī kabhī
sayyād mere tā.ir-e-dil ne qafas ko bhī
nāloñ se pur-bahār kiyā hai kabhī kabhī