apnī jaulāñ-gāh zer-e-āsmāñ samjhā thā maiñ
āb-o-gil ke khel ko apnā jahāñ samjhā thā maiñ
jis dil-e-nā-āqebat-andesh ne chhoḌā thā saath
aise dīvāne ko mīr-e-kārvāñ samjhā thā maiñ
aañkh band hote hī mujh par khul gayā rāz-e-hayāt
ziist ko duniyā meñ umr-e-jāvedāñ samjhā thā maiñ
un ke qabze meñ hai jannat un ke qabze meñ hai naar
is ta.allī ko hadīs-e-dīgarāñ samjhā thā maiñ
mustaqil hai vo to barq-o-bād kā maskan 'zahīr'
ye ġhalat-fahmī thī jis ko āshiyāñ samjhā thā maiñ