ishq hai dariyā-e-ātish tair kar jaane kā naam
husn hai sehn-e-chaman meñ phuul barsāne kā naam
rāt-bhar sham-e-hazīñ is fikr meñ jaltī rahī
kyuuñ buland āḳhir hai is duniyā meñ parvāne kā nā
lailā-o-shīrīñ kī kyā kuchh kahiye ab is gul kī baat
aaj hai ūñchā chaman meñ jis ke afsāne kā naam
tūr-e-dil kī ḳhair ho ab tāb-e-nazzāra kahāñ
husn kā jalva tumhāre barq gir jaane kā naam
tū chaman hai aur tirī raftār hai mauj-e-nasīm
ḳhāmushī ġhuncha hañsī hai phuul khil jaane kā naam
kahkashāñ hai maañg terī ġhāza-e-ruḳh chāñdnī
qad zamīñ par māh-o-anjum ke utar aane kā naam
jab kabhī shānoñ pe zulf-e-ambarīñ lahrā ga.ī
bas yahī hai nik.hat-e-gul ke mahak jaane kā naam