Shahnaz Parveen Shazi

aasra harf-e-dua gham se mafar hone tak

Shahnaz Parveen Shazi

Pakistan

1956
aasrā harf-e-duā ġham se mafar hone tak
sabr bhī chāhiye ab us meñ asar hone tak
gar baqā kī hai tamannā to fanā kar ḳhud ko
biij sahtā hai sitam kitne shajar hone tak
rab kī taḳhlīq pe añgusht-ba-dandāñ haiñ malak
marhale dekh le miTTī se bashar hone tak
baḳhiya-gar chāk-e-garebāñ kī ho tadbīr koī
huuñ tirī dast-nigar apnā hunar hone tak
ishq meñ bar-sar-e-paikār ḳhirad aur junūñ
marg be-maut hai ab ma.arka sar hone tak
vo tirī yaad ke aañsū the jo bahne na diye
chashm vīrāñ meñ ruke shahr-badar hone tak
maiñ bhī ban jā.ūñ shab-e-ġham koī nanhā bachcha
jo ki kho jaatā hai ḳhvāboñ meñ sahar hone tak
the jigar qalb-o-nazar zād-e-safar jab 'shāzī'
ḳhauf-e-tanhā.ī thā kyuuñ izn-e-safar hone tak
Top Urdushayar.com