piirī nahīñ chaltī ki faqīrī nahīñ chaltī
is ishq meñ har ek kī marzī nahīñ chaltī
paḌtī hai banā kar hameñ rakhnī isī ḳhātir
duniyā ke binā apnī faqīrī nahīñ chaltī
hāthoñ se gañvāte hue tujh ko yahī sochūñ
taqdīr ke aage to kisī kī nahīñ chaltī
kis vāste rakh legī bharam merā ye duniyā
maiñ jāntā huuñ merī kahīñ bhī nahīñ chaltī
duniyā se bas itnī sī shikāyat rahī ham ko
ye saath hamāre kabhī sīdhī nahīñ chaltī