is qadar havādis haiñ rāsta nahīñ miltā
zindagī ke misroñ kā qāfiya nahīñ miltā
tere bin palaT jā.ūñ ye bhī ab nahīñ mumkin
aur aage baḌhne kā hausla nahīñ miltā
aap apnī sūrat ko ḳhud pe āshkārā kar
shahr kī fasīloñ par aa.ina nahīñ miltā
be-charāġh rastoñ par be-shumār jugnū the
phir bhī ek bulbul ko ghoñsla nahīñ miltā
log milte rahte haiñ aaj bhī tire jaise
tujh sā par kahīñ koī bā-ḳhudā nahīñ miltā
kaisā daur aayā hai ham siyāh-baḳhtoñ ne
sabr kar ke dekhā hai kuchh sila nahīñ miltā
muntazir nigāhoñ se aan baiThe chaukhaT par
mere haq meñ us dar se faisla nahīñ miltā
maiñ to aise logoñ se duur hī bhale jānāñ
jin se merī sochoñ kā zāviya nahīñ miltā
ham sī fāḳhtāoñ kā tum se jañgjūoñ se
aaj bhī to kal jaisā nazriya nahīñ miltā
munsifī kī qīmat hī dastaras se bāhar thī
is liye faqīroñ ko faisla nahīñ miltā
roz be-murād īmāñ ham to lauT aate haiñ
tum se baat karne ko taḳhliya nahīñ miltā