Iman Qaisrani

koi jugnu koi dipak kiran ho ya sitara ho

Iman Qaisrani

Dera Gazi Khan, Punjab, Pakistan

koī jugnū koī dīpak kiran ho yā sitāra ho
safar meñ raat aa pahuñchī koī to ab hamārā ho
kisī ke ishq kā naġhma hamāre lab pe bhī gūñje
koī to naam le kar ab hamārā bhī pukārā ho
kisī ke haath aise hoñ jo mujh ko thaam sakte huuñ
mujhe har ek laġhzish par sadā jis kā sahārā ho
koī to sub.h aisī ho ki jab maiñ niiñd se jāgūñ
mirī pahlī nazar ko bas vahī chehra nazārā ho
kabhī sochā hai mumkin hai jise tum bevafā samjhe
vahī laḌkī zamāne meñ vafā kā isti.āra ho
tirī palkoñ kī chaukhaT se jo aañsū chun liyā maiñ ne
vo ik aañsū vahī jugnū mujhe har shai se pyārā ho
bhañvar paañv se uljhe haiñ magar dil kī talab ye hai
mire jīvan kī naav kā tirā sañgam kinārā ho
maiñ kachchī niiñd se jaagī na jaane aaj phir kaise
koī us paar se shāyad mujhe phir se pukārā ho
junūn-e-ishq meñ 'īmāñ' faqat itnā parakh lenā
jise jugnū samajhtī huuñ ḳhabar kyā vo sharārā ho
Top Urdushayar.com