Ashraf Ali Fughan

bahaar aai hai sote ko Tuk jaga dena

Ashraf Ali Fughan

Delhi, India

1725-1772
bahār aa.ī hai sote ko Tuk jagā denā
junūñ zarā mirī zanjīr ko hilā denā
tire laboñ se agar ho sake masīhā.ī
to ek baat meñ jiitā huuñ maiñ jilā denā
ab aage dekhiyo jītūñ na jītūñ yā qismat
mirī bisāt meñ dil hai ise lagā denā
rahūñ na garmī-e-majlis se maiñ tirī mahrūm
sipand-vār mujhe bhī zarā tū jā denā
ḳhudā kare tirī zulf-e-siyah kī umr darāz
kabhī balā mujhe lenā kabhī duā denā
ba-rañg-e-ġhuncha zar-e-gul ke ta.iiñ girah mat bāñdh
'fuġhāñ' jo haath meñ aave use uḌā denā
Top Urdushayar.com