abas abas tujhe mujh se hijāb aatā hai
tire liye koī ḳhāna-ḳharāb aatā hai
palak ke mārte hastī tamām hotī hai
abas ko bahr-e-adam se habāb aatā hai
ḳhudā hī jaane jalāyā hai kis sitamgar ne
jigar to chashm se ho kar kabāb aatā hai
shab-e-firāq meñ aksar maiñ le ke ā.īna
ye dekhtā huuñ ki āñkhoñ meñ ḳhvāb aatā hai
nazar karūñ huuñ to yaañ ḳhvāb kā ḳhayāl nahīñ
gire hai laḳht-e-jigar yā ki aab aatā hai