ai tajallī kyā huā sheva tirī takrār kā
mar gayā āḳhir ko ye tālib tire dīdār kā
kyā binā-e-ḳhāna-e-ushshāq be-buniyād hai
Dhal gayā sar se mire saaya tirī dīvār kā
roz beh hotā nazar aatā nahīñ ye zaḳhm-e-dil
dekhiye kyā ho ḳhudā hāfiz hai is bīmār kā
nau-mulāzim lāl-e-lab ko le ga.e tanḳhvāh meñ
be-talab rahtā hai ye naukar tirī sarkār kā
dekh na.iiñ saktā 'fuġhāñ' shādī dil-e-āfat-talab
ye kahāñ se ho gayā mālik mire ghar-bār kā