Ashraf Ali Fughan

bas-ki didar tera jalwa-e-quddusi hai

Ashraf Ali Fughan

Delhi, India

1725-1772
bas-ki dīdār tirā jalva-e-quddūsī hai
dāman-e-vasl bhī ālūda-e-māyūsī hai
hai kahāñ bū-e-vafā us dahan-e-shīrīñ meñ
ġhuncha-lab terī zabāñ ham ne bahut chūsī hai
yaar go ḳhuun mirā misl-e-hinā ho pāmāl
lekin apne ta.iiñ manzūr qadam-bosī hai
dil mirā ḳhaak shagufta ho chaman meñ jā kar
gul meñ ye rañg kahāñ ek tirī bū sī hai
ek din zulf ke muñh par na chaḌhī ye kāfir
yād-e-kākul ko faqat sheva-e-jāsūsī hai
vo sajī teġh ki dam meñ kare lākhoñ ko qatl
kaun kahtā hai miyāñ terī kamar mū sī hai
shaiḳh rotā hai ise sun ke barhaman yaksū
pur-asar bas ki mirā nālā-e-nāqūsī hai
chashm-e-namnāk ne az bas-ki bujhāyā us ko
ātish-e-ishq kahāñ dil meñ magar lū sī hai
ai 'fuġhāñ' ishq kahāñ dil meñ ba-qaul-e-'minnat'
haañ ye sach milne kī ḳhūbāñ se to ik ḳhū sī hai
Top Urdushayar.com