Azlan shah

ye KHazane ka koi sanp bana hota hai

Azlan shah

ye ḳhazāne kā koī saañp banā hotā hai
aadmī ishq meñ duniyā se burā hotā hai
kaam aatā nahīñ bilkul koī ronā-dhonā
jaane vaalā to kahīñ duur gayā hotā hai
jhoñk kar dhuul nigāhoñ meñ jahāñ vāloñ kī
vo hamesha kī tarah merā huā hotā hai
likh dī hotī hai muqaddar meñ bulandī jis ke
sūrat-e-ḳhāk vo qadmoñ meñ paḌā hotā hai
karnī paḌtī hai usī meñ hameñ tarmīm ki jo
vāqi.a pahle se tartīb diyā hotā hai
Top Urdushayar.com