dekhiye ḳhaak meñ majnūñ kī asar hai ki nahīñ
dasht meñ nāqa-e-lailā kā guzar hai ki nahīñ
vā agar chashm na ho us ko na kahnā pī ashk
ye ḳhudā jaane sadaf biich guhar hai ki nahīñ
ek ne mujh ko tire dar ke upar dekh kahā
ġhair is dar ke tujhe aur bhī dar hai ki nahīñ
āḳhir is manzil-e-hastī se safar karnā hai
ai musāfir tujhe chalne kī ḳhabar hai ki nahīñ
tosha-e-rāh sabhī ham-safarāñ rakhte haiñ
tere dāman meñ 'fuġhāñ' laḳht-e-jigar hai ki nahīñ