Ashraf Ali Fughan

is jaur o jafa se tere zinhaar na TuTe

Ashraf Ali Fughan

Delhi, India

1725-1772
is jaur o jafā se tire zinhār na TuuTe
ye dil to kisī tarah se ai yaar na TuuTe
ġhairoñ ko na kar mujh dil-e-bismil ke muqābil
chau rañg lagāte tirī talvār na TuuTe
vo shīsha-e-dil hai ki isī sañg-e-jafā par
sau baar agar pheñkiye yak-bār na TuuTe
rakh qais qadam vādi-e-lailā meñ samajh kar
is dasht-e-mohabbat kā koī ḳhaar na TuuTe
jumbish meñ na lā sub.ha-e-islām ko ai sheḳh
nāzuk hai mirā rishta-e-zunnār na TuuTe
shāna se 'fuġhāñ' phir ulajhtā hai mirā dil
us kākul-e-mushkīñ kā koī taar na TuuTe
Top Urdushayar.com