Dartā huuñ mohabbat meñ mirā naam na hove
duniyā meñ ilāhī koī badnām na hove
shamshīr koī tez sī lenā mire qātil
aisī na lagānā ki mirā kaam na hove
gar sub.h ko maiñ chaak garebān dikhā.ūñ
ai zinda-dilāñ hashr talak shaam na hove
aatā hai mirī ḳhaak pe hamrāh-e-raqībāñ
yaanī mujhe turbat meñ bhī ārām na hove
jī detā hai bose kī tavaqqo pe 'fuġhāñ' tū
Tuk dekh le saudā ye tirā ḳhaam na hove