Ashraf Ali Fughan

aks bhi kab shab-e-hijran ka tamashai hai

Ashraf Ali Fughan

Delhi, India

1725-1772
aks bhī kab shab-e-hijrāñ kā tamāshā.ī hai
ek maiñ aap huuñ yā gosha-e-tanhā.ī hai
dil to ruktā hai agar band-e-qabā baaz na ho
chaak kartā huuñ garebāñ ko to rusvā.ī hai
tāqat-e-zabt kahāñ ab to jigar jaltā hai
aah siine se nikal lab pe mire aa.ī hai
maiñ to vo huuñ ki mire laakh ḳharīdār haiñ ab
lek is dil se dhaḌaktā huuñ ki saudā.ī hai
dil-e-betāb 'fuġhāñ' ummat-e-ayyūb nahīñ
na use sabr hai hargiz na shakebā.ī hai
Top Urdushayar.com