Ashraf Ali Fughan

aalam mein agar ishq ka bazar na hota

Ashraf Ali Fughan

Delhi, India

1725-1772
aalam meñ agar ishq kā bāzār na hotā
koī kisī bande kā ḳharīdār na hotā
hastī kī ḳharābī nazar aatī jo adam meñ
us ḳhvāb se hargiz koī bedār na hotā
kahtā hai tujhe ḳhaak na duuñ ġhair-e-azīyat
ye dil meñ agar thī to mirā yaar na hotā
mālūm kise thī ye tirī ḳhāna-ḳharābī
maiñ jāntā aisā to giraftār na hotā
aalam ko jalātī hai tirī garmi-e-majlis
marte ham agar sāya-e-dīvār na hotā
ai shaiḳh agar kufr se islām judā hai
pas chāhiye tasbīh meñ zunnār na hotā
zālim mire hāsid kī to shādī thī isī meñ
yaanī mujhe dar tak bhī tire baar na hotā
dete tirī majlis meñ agar raah 'fuġhāñ' ko
us shaḳhs se hargiz koī be-zār na hotā
Top Urdushayar.com