Azlan shah

samajh ke rasta idhar se guzarne walon ne

Azlan shah

samajh ke rasta idhar se guzarne vāloñ ne
kahīñ kā chhoḌā na dil se utarne vāloñ ne
bane-banā.e hue rāstoñ pe chalte hue
ḳhudā banā.e ḳhudā.ī se Darne vāloñ ne
hazār chhed kiye jholiyoñ meñ apnoñ kī
tumhāre naam pe ḳhairāt karne vāloñ ne
tavīl umr kī Dheroñ duā.eñ bhejī haiñ
mire charāġh ko paanī se bharne vāloñ ne
hamārī aañkh meñ ik buuñd bhī nahīñ chhoḌī
misāl-e-abr falak par ubharne vāloñ ne
ye kis tarah ke ajab vāhimoñ meñ Daal diyā
sharāb o shahd kī tasdīq karne vāloñ ne
zabān-bandī pe majbūr ho ga.ī duniyā
vo khel khelā hai hairat se marne vāloñ ne
charāġh-e-rāh ko ġhārat-garī sikhā.ī hai
havā-e-shahr pe ilzām dharne vāloñ ne
Top Urdushayar.com