karo vo kaam jis se har kisī ko fā.eda pahuñche
bano vo sham.a jis se tīra-baḳhtī ko ziyā pahuñche
Thahar kar saañs bhī ham ne na lī jab gāmzan the ham
jo ruk ruk kar chale rāhoñ meñ vo manzil ko kyā pahuñche
pilā kuchh is tarah ki lauT kar jaanā na ho mumkin
ki Thukrā kar do-ālam ham yahāñ tak sāqiyā pahuñche
jo kahte the ki gar Duube bhī to ik saath Dūbeñge
vo ham ko chhoḌ kar mañjdhār meñ sāhil pe jā pahuñche
hamāre ḳhuun se us shoḳh ke rañg-e-hinā aa.e
payām-e-shauq le kar koī un tak dūsrā pahuñche
na chheḌ ai mutrib-e-ḳhush-zauq naġhma ishq-o-ulfat kā
ki jis se ik shikasta dil ke zaḳhmoñ ko jilā pahuñche
ham aajiz aa ga.e ab nāseh-o-mullā kī bātoñ se
jinheñ hai ḳhabt jannat kā unheñ to bas ḳhudā pahuñche