qubūl hotī huī bad-duā se Darte haiñ
vagarna log kahāñ ye ḳhudā se Darte haiñ
chalo ki faisla āḳhir yahāñ tamām huā
ye kam-nasīb tirī ḳhāk-e-pā se Darte haiñ
sabhī se kahte haiñ bas ḳhair kī duā māñgo
kabhī kabhī to ham itnā ḳhudā se Darte haiñ
yahī burā.ī hai bujhte hue charāġhoñ meñ
ye ḳhushk pattoñ kī sūrat havā se Darte haiñ
jo dekhte haiñ use kuchh nahīñ samajhte magar
jo dekhnā hai usī kī sazā se Darte haiñ