dil ko tire ḳhayāl se bahlā rahā huuñ maiñ
yuuñ shām-e-ġham ko sub.h kiye jā rahā huuñ maiñ
vāqif huuñ merī raah kī manzil nahīñ koī
dīvāna-vār phir bhī baḌhe jā rahā huuñ maiñ
maiñ kah rahā Thahariye ki aisā bhī kyā sitam
vo kah rahe haiñ chhoḌiye ab jā rahā huuñ maiñ
sach hai kisī sanam kī ibādat gunāh hai
phir bhī hasīñ gunāh kiye jā rahā huuñ maiñ
jo kuchh diyā hai tere muqaddas ḳhayāl ne
is lazzat-e-davām ko lauTā rahā huuñ maiñ
kal tak muḳhālifīn ke charche the har taraf
har bazm ahl-e-zauq pe ab chhā rahā huuñ maiñ