gesū-e-yār ko chehre pe bikhartā dekhā
mo.ajiza dekhiye din raat ko yakjā dekhā
yuuñ shab-e-hijr meñ un ko bhī taḌaptā dekhā
bistar-e-marg pe goyā ki masīhā dekhā
ḳhud ko bhī husn kā dīvāna samajh baiThā hai
us parī-chehra kā vaa.iz ne jo shīsha dekhā
kashmakash qatra-e-āñsū kī tirī palkoñ par
ham ne girte hue taare ko laraztā dekhā
phir vahī yād-e-guzishta vahī uljhan vahī ġham
dil ko un bāda-o-sāġhar se bhī bahlā dekhā