kuchh is tarah se basar kī hai zindagī maiñ ne
ġhamoñ kī chhāñv meñ DhūñDī hai sarḳhushī maiñ ne
jo merī zaat kā sab se baḌā muḳhālif thā
matā-e-umr usī ko hī baḳhsh dī ham ne
mujhe nikāl diyā us ne dil kī bastī se
ki baat dil kī sar-e-bazm kyuuñ kahī maiñ ne
husūl-e-zar kā jo mauqa kabhī milā mujh ko
gañvā diyā hai use kar ke shā.irī maiñ ne
har ek shaḳhs mirī dostī kā tālib thā
har ek shaḳhs se lī mol dushmanī maiñ ne
ye merā naam 'munavār' zarūr hai lekin
kabhī na paa.ī qarīb apne raushnī maiñ ne