Munawwar Hashmi

mehnat koshish aur wafa ke KHugar zinda rahte hain

Munawwar Hashmi

mehnat koshish aur vafā ke ḳhūgar zinda rahte haiñ
jin ko marnā aa jaatā hai aksar zinda rahte haiñ
fitrat kī vus.at hai kitnī kaun kahāñ tak dekhegā
āñkheñ mar jaatī haiñ lekin manzar zinda rahte haiñ
patthar mārne vaale ik din ḳhud patthar ho jaate haiñ
rāh-e-vafā meñ jo sahte haiñ patthar zinda rahte haiñ
haq kī ḳhātir pesh kareñ jo apnī jaan kā nazrāna
zinda rahne vāloñ se bhī baḌh kar zinda rahte haiñ
ik din paidā karte haiñ bhauñchāl kī sūrat jismoñ meñ
laave jazboñ ke siine ke andar zinda rahte haiñ
jin ke dam se dhartī raushan rashk-e-falak dikhlā.ī de
aise insāñ aise māh-o-aḳhtar zinda rahte haiñ
zulm ke sail-e-ḳhūñ meñ ik din zālim bhī bah jaatā hai
lashkar mar jaatā hai aur behtar zinda rahte haiñ
aise logoñ kā mar jaanā jiine se bhī behtar hai
vo jo log 'munavār' sab se Dar kar zinda rahte haiñ
Top Urdushayar.com