Munawwar Hashmi

hamare haq mein koi inqalab hai ki nahin

Munawwar Hashmi

hamāre haq meñ koī inqalāb hai ki nahīñ
hamārī samt khulā dil kā baab hai ki nahīñ
vo ik savāl-e-tamannā jo baar baar huā
us ik savāl kā koī javāb hai ki nahīñ
varaq varaq pe tirā naam jis meñ likkhā hai
vafā-o-mehr kī vo dil kitāb hai ki nahīñ
tirā gunāh bhī vaa.iz savāb hai lekin
hamāre nek amal kā savāb hai ki nahīñ
tumhāre naam mire dil kī dhaḌkaneñ jo huiiñ
tumhāre dil meñ kuchh un kā hisāb hai ki nahīñ
hai merā zehn to taḳhlīq-e-ḳhvāb meñ masrūf
tumhāre zehn meñ tābīr-e-ḳhvāb hai ki nahīñ
maiñ dil kī baat 'munavār' zarūr us se karūñ
samā.atoñ kī magar us ko taab hai ki nahīñ
Top Urdushayar.com