aur koī bhī nahīñ apnā sahārā baaqī
ab hai siine meñ faqat dard tumhārā baaqī
qarya-e-jāñ bhī hai aur dāvat-e-dīdār bhī hai
aañkh baaqī nahīñ lekin hai nazāra baaqī
baaqī āsār haiñ bas qahr-e-ḳhudā ke har-sū
koī tūfāñ hai na kashtī na kināra baaqī
us ke aane kī hai mauhūm sī ummīd abhī
āsmāñ par hai abhī ek sitāra baaqī
dil-o-jāñ bhī nahīñ duniyā bhī nahīñ hai apnī
sochte haiñ ki yahāñ kyā hai hamārā baaqī
jaane kis samt hue log ravāna saare
ek maiñ shahr meñ huuñ dard kā maarā baaqī